page contents Urdu Poetry Dunya : AMEERI AUR GARIBI

Wednesday, 3 June 2015

AMEERI AUR GARIBI

AMEERI AUR GARIBI
AMEERI AUR GARIBI

====================
Ye duniya exam ki jagah hai, yaha Allah kisi ko pesa dekar aazmaata hai to kisi ko garib bana kar aazmata hai, insan ameer ho ya gareeb, usko hamesha Allah ko raazi karne ke kaam karna chahiye. Pesa har kisi ki kismat ka hota hai, jitna Allah ne pesa kismat mein likh diya hai utna mil kar rahega. Lekin kabhi bhi ye dil mein khyal nahi lana chahiye ke agar kisi ke pass bahut pesa hai to Allah usse khush hai aur jo gareeb hai Allah usse naraz hai. Ho sakta hai ke jo pese wala hai Allah usse naraz ho aur jo garib hai usse khush ho. Isliye pesa Allah ki khushi aur na-khushi ki wajah nahi hai.
Jo log haram tarike se pesa kamate hain aur jaldi ameer ban jaate hain to aese logo ko Allah aur mohlat de deta hai. Haram tarike ye hain, (byaz ka pesa lena, kisi ko dhoka dekar kamana, kisi ko galat maal bech kar kamana, chori karna, sharab bechna, jua/satte se kamana wagerah)
Is duniya mein insan ko bahut kam time rahna hai (56-70 saal). Lekin marne ke baad ki zindagi kabhi khatam nahi hogi. Agar yaha imaandari se kamaya lekin garib rahe to bhi insan marne ke baad ki zindagi mein khush rahega. Lekin jisne yaha be-imaani se kamaya wo 60-70 saal ki zindagi to aaram se guzar sakta hai lekin marne ke baad ki jo zindagi hai wo kabhi khatam na hogi waha wo pareshan rahega.
Agar insan be-imaani se kamata hai to pese ke saath-saath wo bahut gunah bhi kama raha hai aur Allah ke yaha usko azab hoga, lekin agar koi insan imaan-daari se mehnat karke kama raha hai, aur wo (ye sochta hai ke mere kamane se mere ghar waale acche se rahenge) to uska imaan-daari se kamana sawab ban jata hai.
Agar be-imaani se insan kama raha hai aur agar wo masjid mein laakho rupye de de, garibo ko laakho rupye daan/donate kar de to bhi usko sawab na milega, aur agar wo haram ki kamai se khana khaaega to uski duwa bhi kubul na hogi, agar haram ki kamai se roza kholega to uska roza bhi kubul na hoga. lekin imaan-daari se kamaya 1 rupya bhi agar insan Allah ki raah mein deta hai to usko iska bahut sawab milega.
Ek sahabi ke hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne haath choom liye kyonke wo sahabi mehnat karte the aur unke haath par mehnat ki wajah se nishan ban gae the, matlab mehnat karke kaam karne walo ko Allah aur uska rasul dono pasand karte hain.
Ye duniya kuch dino ki hai, insan ko khud pata nahi hota ke wo kitne din jiyega, isliye pese ke piche nahi bhagna chahiye. Sahaba (radi allahu anhu) ka ye tarika hota tha ke bas utna kamate the jitna ki zarurat hoti thi, uske baad Allah ki ibadat mein aur islam ko felane ka kaam karte the kyonke unko maalum tha ke is duniya mein to kuch time hi rahna hai, zindagi kese bhi guzar jaaegi lekin marne ke baad ki zindagi hamesha-hamesha rahegi, isliye wo log waha ke liye mehnat karte the, sawab kamate the, Allah ki ibadat karte the.
Agar garibi ki wajah se koi zarurat aa jaae to pahle kisi insan se maangke ki bajae 2 rakat namaz padho aur Allah se maango aur kaho ke ae Allah tu hi dene wala hai, baaki sab insan to tere hi mohtaaj hain, mujhe apna mohtaaj bana, kisi ger ka mohtaaj na bana. Iske baad Allah ki zaat par ummid rakho Allah kisi ke zariye se bhi madad pahucha dega.
Agar pese ki wajah se koi kisi ki izzat karta hai to hakeekat mein wo us insan ki izzat nahi kar raha balke pese ki kar raha hai. Aur izzat aur zillat to Allah dene wala hai, kisi insan ki taakat nahi ke wo kisi ko be-izzat kar de ya usko izzat wala bana de kyonke quran mein Allah farmata hai ke "mein jisko izzat dena chahu to puri duniya mil kar usko be-izzat nahi kar sakti aur jisko be-izzat karna chahu uski puri duniya milkar izzat bacha nahi sakti". Isliye har cheez Allah se maango chahe wo pesa ho ya izzat. Kisi insan se ummid na karo, kyonke wo khud bhi Allah ka mohtaj hai.
Agar garibi ki wajah se koi izzat nahi karta to maayus na ho, kyonke agar humse hamara Allah khush hai to humko kisi ki zarurat nahi, humko kisi insan se izzat nahi karwana. Sabse badi baat hamara Allah humse khush hona chahiye. Bade-bade badshah is duniya mein aae aur chale gae. Aur duniya mein hi apne mahal aur dualat chhod kar chale gae. Sikandar puri duniya ko jeetne nikla tha aur usne aadhi se zyada duniya jeet bhi li thi, lekin ek chhote se bukhar se wo mar gaya, jab usko laga ke meri maut kareeb hai to usne apne mantri (wazeer) se kaha ke jab mein mar jaaun aur mera janaza nikle to mere dono haath janaze ke bahar nikaal dena, taaki log ye dekhen aur samajh sake ke marne ke baad sikandar ke bhi haath khali hi the, wo kuch na le ja saka.
Agar kisi insan ki kismat mein pesa hai to wo usko zarur mil kar rahega. Agar wo galat raaste se kamata hai to usko wo galat raaste se milega (saath hi galat raaste se kamane ke wajah se usko gunah bhi milega) aur agar koi imaandaari se kamata hai to usko imaandaari se milega.
Ek baar hazrat Ali (radi allahu anhu) ne ek insan ko apna ghoda sambhalne ke liye kaha aur socha ke namaz padh lu, jab aap namaz ke liye khade hue to wo insan ghode ki zeen lekar bhaag gaya, aapne namaz ke baad soch liya tha ke mein usko kuch rupye dunga. lekin jab jaakar dekha to wo insan zeen chura kar bhaag gaya tha, ab hazrat Ali (radi allahu anhu) jitne pese dene waale the wo zeen bhi utne pese ki hi thi, is par aapne farmaya ke Allah ne uski kismat mein itne hi pese likhe the lekin usne galat tarika chun liya, agar chori na karta to mein bhi usko utne hi pese dene wala tha jitne ki wo zeen thi.
Kuch wazifa aur amal hain jiski wajah se hamare rizq mein tarakki ho sakti hai.
(1) Astagfaar (puri dua) padhna - jo insan khoob astagfaar padhta hai Allah usko aesi jagah se rizq deta hai jiska wo guman bhi nahi karta.
(2) Namaz padhne se Allah rozi mein barkta deta hai.
(3) Roz 'surah waaqiya' padhne se bhi rozi mein barkta hoti hai.
(4) Subah fazar ki 2 sunnato ke bad (2 farz se pahle) 100 baar 'subhan allahe wabe hamdihi, subhan allahil azim, astargfirullah wa atubu ilayh. ki tasbeeh se bhi rozi mein izafa hota hai.
Agar koi halal rozi se ameer banta hai to islam ne isse nahi roka hai, lekin insan ameer ho ya gareeb ye sochna chahiye ke garibi bhi Allah ki di hui hai aur ameeri bhi. Ameer ho ya garib, Allah raazi to kaamyabi hai warna sab yahi rah jana hai.
Allah hum sabko quran, hadees aur hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki sunnato par amal karne wala bana de. Aameen.

No comments:

Post a Comment

Advertisement

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments