page contents Urdu Poetry Dunya : AURATO KE LIYE NAMAZ KE ZARURI MASAIL

Saturday 4 July 2015

AURATO KE LIYE NAMAZ KE ZARURI MASAIL

Deeni Aurat's photo.

AURATO KE LIYE NAMAZ KE ZARURI MASAIL

Aurat Bhi khade Hokar Namaz Padhe

Jin Namazo Me yani FARZ-WAJIB Aur SUNNAT E MOAKKIDA Me MARDO Par KAYAM Farz Hai un Namazo Me Aurato Par Bhi KAYAM FARZ HAI. ...
Agar Bila uzre sharayi in Namazo ko Beth kar Padhegi To Namaz Na Hogi......

★ Tamam Raka'at khade Ho kar Padhe-
Ek Raka'at khadi Ho kar Aur Baki Raka'ato ko Beth kar padhegi To un Rakato Me kayam ka FARZ Chhut Jayega AUR NAMAZ NA HOGI.......

NOT→Hamari kuch kam ilm Maa Bahene FARZ-WAJIB-Aur SUNNAT E MOAKKIDA Namaz ki Tamam ya Baz Raka'at Beth kar Padhti Hai unki Namaz Nahi Hoti. ..
Lehaza. ..
Aysi Namaz ki KAZA kare Aur Aayinda ke liye Toba kare Aur Hamesha lazmi Tor Par khade Ho kar Namaz Padhne ki Aadat Dale...

★ Sharayi uzr Bager Beth kar Namaz padhna jayaz Nahi. ....

★ kayam ke liye jo Ehkam Mardo ke liye Hai wo Tamam Ehkam Aurato par Bhi lazim Hai..

★ Nafil Namaz Bager kisi uzr ke Bhi Beth kar Padh sakti hai....
→ MOMIN KI NAMAZ
SAFA - 280

No comments:

Post a Comment

Advertisement

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments