page contents Urdu Poetry Dunya : Aye Bint-e-Hawwa Sambhal khud ko.

Saturday, 4 July 2015

Aye Bint-e-Hawwa Sambhal khud ko.

Aye Bint-e-Hawwa Sambhal Khud Ko

✦........ Aye Bint-e-Hawwa Sambhal Khud Ko ........✦


Aye Bint-e-Hawwa sambhal khud ko,
Ye Ibn-e-Adam hawas ko chahat ka naam dekar,

Pyaas apni bujha raha hai,
ye Tera daman jala raha hai,

Magar tu paikar wafa bani hai,
Wafa hi Teri khata bani hai,

Tu kitni sada Tu kitni pagal,
Tu kis ki baton mein Aarahi hai...?

Moqam apna Ganwa rahi hai
Ye Chahaton ka faraib dekar,

Tumhare Jazbon se khailte hain,
Apni khuahesh mitane tak ye Tumhari Chahat ko Jhailte hain,

Magar ye apni Hawas mita kar Tumhen bhula kar,
Shikaar Agla talash te hain

✦........ Aye Bint-e-Hawwa Sambhal Khud Ko ........✦



No comments:

Post a Comment

Advertisement

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments