page contents Urdu Poetry Dunya : Zina (illegal Sex) Aur Uska Azaab HADEES-E-PAK

Saturday 4 July 2015

Zina (illegal Sex) Aur Uska Azaab HADEES-E-PAK

Zina (illegal Sex) Aur Uska Azaab HADEES-E-PAK
Zina (illegal Sex) Aur Uska Azaab
HADEES-E-PAK
"Zina Tangdasti paida karta hai
aur Chehre ka Noor khatm kar deta hai,
ALLAH AZ-ZAWAJAL Farmata hai;
Maine Faisla kiya hai ki Mai Zaani [Yani Zina karne wala] ko Tangdast kar dunga Agarche kuch arsa baad sahi"
("KANZUL UMMAL"kitabul-Hudood, Al-Baab-us-Saan i-fi-Nawa-e-ul- Hudood, 5/126, HADEES: 13018)
HADEES-E-RASOOL :
"Zina se bachte raho kyunki
Ye Jism ki Taazgi ko khatm karta hai
aur Taveel Muhtaaji ka sabab hai
aur Aakhirat me ALLAH AZ-ZAWAJAL ki Naarazgi,
Hisaab ki Sakhti aur Hamesha ke liye Jahannam me Jalne ka sabab hai"
(Imam Baihaqi in his book"SHUBUL IMAN"Baab:Fi-Tahreem -ul-Furooj, 4/379, HADEES: 5478)
Hazrat Abdullah bin Abbas Radiyallahu Ta'ala Anhuma se Rivayat hai,
RASOOL-E-KAREEM SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM ne Irshad farmaya;
"Jis Basti me Zina Aur sood zahir ho jae to unhone Apne liye ALLAH AZ-ZAWAJAL ke Azaab ko halaal kar liya"
("MUSTADRAK"kitabul-Biyu, 2/339, HADEES: 2308)
Hazrat Umro bin Aas Radiyallahu Ta'ala Anhuma se Rivayat hai,
NABI AKRAM
SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM ne Irshad farmaya;
"Jis Qaum me Zina Zaahir hoga,
woh Qahat me Giraftaar hogi
aur Jis Qaum me Rishwat ka Zuhoor hoga,
woh Ru'ab me Giraftaar hogi"
("MISHKAAT"kitabul-Hudood, Al-Fasl-us-saal is, 1/656, HADEES: 3582)
Hazrat Buridah Radiyallahu Ta'ala Anhu se Rivayat hai,
SARKAR-E-D0-AAL AM SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM ne Irshad farmaya;
"Saaton [7th] Aasman aur Saaton Zameene Bud'he Zaani [Zina karne wala] par Lanat karte hai
aur Zaaniyon ki Sharmgaah ki Badbu Jahannam walo ki Iza [Takleef] degi"
("MAJMA-UZ-ZAWA ID"kitabul Hudood...,Baab: Zimm-uz-zina, 6/389, HADEES: 10541)
Hazrat Sayyiduna Ibne Abbas Radiyallahu Ta'ala Anhuma apne Bachchon se farmaya karte the;
"Jab tum Nikah karna Chaaho to Tumhara Nikah kara dunga
kyunki Banda Jab Zina karta hai to
uske Dil se Iman Nikal jaata hai aur uska Iman Baaqi nahi rehta"
(Imam Ibne Jauzi in his book"BAHR-UD-DAMU"PAGE: 230)

No comments:

Post a Comment

Advertisement

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments