page contents Urdu Poetry Dunya

Wednesday, 3 June 2015

AMEERI AUR GARIBI

AMEERI AUR GARIBI
AMEERI AUR GARIBI

====================
Ye duniya exam ki jagah hai, yaha Allah kisi ko pesa dekar aazmaata hai to kisi ko garib bana kar aazmata hai, insan ameer ho ya gareeb, usko hamesha Allah ko raazi karne ke kaam karna chahiye. Pesa har kisi ki kismat ka hota hai, jitna Allah ne pesa kismat mein likh diya hai utna mil kar rahega. Lekin kabhi bhi ye dil mein khyal nahi lana chahiye ke agar kisi ke pass bahut pesa hai to Allah usse khush hai aur jo gareeb hai Allah usse naraz hai. Ho sakta hai ke jo pese wala hai Allah usse naraz ho aur jo garib hai usse khush ho. Isliye pesa Allah ki khushi aur na-khushi ki wajah nahi hai.
Jo log haram tarike se pesa kamate hain aur jaldi ameer ban jaate hain to aese logo ko Allah aur mohlat de deta hai. Haram tarike ye hain, (byaz ka pesa lena, kisi ko dhoka dekar kamana, kisi ko galat maal bech kar kamana, chori karna, sharab bechna, jua/satte se kamana wagerah)
Is duniya mein insan ko bahut kam time rahna hai (56-70 saal). Lekin marne ke baad ki zindagi kabhi khatam nahi hogi. Agar yaha imaandari se kamaya lekin garib rahe to bhi insan marne ke baad ki zindagi mein khush rahega. Lekin jisne yaha be-imaani se kamaya wo 60-70 saal ki zindagi to aaram se guzar sakta hai lekin marne ke baad ki jo zindagi hai wo kabhi khatam na hogi waha wo pareshan rahega.
Agar insan be-imaani se kamata hai to pese ke saath-saath wo bahut gunah bhi kama raha hai aur Allah ke yaha usko azab hoga, lekin agar koi insan imaan-daari se mehnat karke kama raha hai, aur wo (ye sochta hai ke mere kamane se mere ghar waale acche se rahenge) to uska imaan-daari se kamana sawab ban jata hai.
Agar be-imaani se insan kama raha hai aur agar wo masjid mein laakho rupye de de, garibo ko laakho rupye daan/donate kar de to bhi usko sawab na milega, aur agar wo haram ki kamai se khana khaaega to uski duwa bhi kubul na hogi, agar haram ki kamai se roza kholega to uska roza bhi kubul na hoga. lekin imaan-daari se kamaya 1 rupya bhi agar insan Allah ki raah mein deta hai to usko iska bahut sawab milega.
Ek sahabi ke hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne haath choom liye kyonke wo sahabi mehnat karte the aur unke haath par mehnat ki wajah se nishan ban gae the, matlab mehnat karke kaam karne walo ko Allah aur uska rasul dono pasand karte hain.
Ye duniya kuch dino ki hai, insan ko khud pata nahi hota ke wo kitne din jiyega, isliye pese ke piche nahi bhagna chahiye. Sahaba (radi allahu anhu) ka ye tarika hota tha ke bas utna kamate the jitna ki zarurat hoti thi, uske baad Allah ki ibadat mein aur islam ko felane ka kaam karte the kyonke unko maalum tha ke is duniya mein to kuch time hi rahna hai, zindagi kese bhi guzar jaaegi lekin marne ke baad ki zindagi hamesha-hamesha rahegi, isliye wo log waha ke liye mehnat karte the, sawab kamate the, Allah ki ibadat karte the.
Agar garibi ki wajah se koi zarurat aa jaae to pahle kisi insan se maangke ki bajae 2 rakat namaz padho aur Allah se maango aur kaho ke ae Allah tu hi dene wala hai, baaki sab insan to tere hi mohtaaj hain, mujhe apna mohtaaj bana, kisi ger ka mohtaaj na bana. Iske baad Allah ki zaat par ummid rakho Allah kisi ke zariye se bhi madad pahucha dega.
Agar pese ki wajah se koi kisi ki izzat karta hai to hakeekat mein wo us insan ki izzat nahi kar raha balke pese ki kar raha hai. Aur izzat aur zillat to Allah dene wala hai, kisi insan ki taakat nahi ke wo kisi ko be-izzat kar de ya usko izzat wala bana de kyonke quran mein Allah farmata hai ke "mein jisko izzat dena chahu to puri duniya mil kar usko be-izzat nahi kar sakti aur jisko be-izzat karna chahu uski puri duniya milkar izzat bacha nahi sakti". Isliye har cheez Allah se maango chahe wo pesa ho ya izzat. Kisi insan se ummid na karo, kyonke wo khud bhi Allah ka mohtaj hai.
Agar garibi ki wajah se koi izzat nahi karta to maayus na ho, kyonke agar humse hamara Allah khush hai to humko kisi ki zarurat nahi, humko kisi insan se izzat nahi karwana. Sabse badi baat hamara Allah humse khush hona chahiye. Bade-bade badshah is duniya mein aae aur chale gae. Aur duniya mein hi apne mahal aur dualat chhod kar chale gae. Sikandar puri duniya ko jeetne nikla tha aur usne aadhi se zyada duniya jeet bhi li thi, lekin ek chhote se bukhar se wo mar gaya, jab usko laga ke meri maut kareeb hai to usne apne mantri (wazeer) se kaha ke jab mein mar jaaun aur mera janaza nikle to mere dono haath janaze ke bahar nikaal dena, taaki log ye dekhen aur samajh sake ke marne ke baad sikandar ke bhi haath khali hi the, wo kuch na le ja saka.
Agar kisi insan ki kismat mein pesa hai to wo usko zarur mil kar rahega. Agar wo galat raaste se kamata hai to usko wo galat raaste se milega (saath hi galat raaste se kamane ke wajah se usko gunah bhi milega) aur agar koi imaandaari se kamata hai to usko imaandaari se milega.
Ek baar hazrat Ali (radi allahu anhu) ne ek insan ko apna ghoda sambhalne ke liye kaha aur socha ke namaz padh lu, jab aap namaz ke liye khade hue to wo insan ghode ki zeen lekar bhaag gaya, aapne namaz ke baad soch liya tha ke mein usko kuch rupye dunga. lekin jab jaakar dekha to wo insan zeen chura kar bhaag gaya tha, ab hazrat Ali (radi allahu anhu) jitne pese dene waale the wo zeen bhi utne pese ki hi thi, is par aapne farmaya ke Allah ne uski kismat mein itne hi pese likhe the lekin usne galat tarika chun liya, agar chori na karta to mein bhi usko utne hi pese dene wala tha jitne ki wo zeen thi.
Kuch wazifa aur amal hain jiski wajah se hamare rizq mein tarakki ho sakti hai.
(1) Astagfaar (puri dua) padhna - jo insan khoob astagfaar padhta hai Allah usko aesi jagah se rizq deta hai jiska wo guman bhi nahi karta.
(2) Namaz padhne se Allah rozi mein barkta deta hai.
(3) Roz 'surah waaqiya' padhne se bhi rozi mein barkta hoti hai.
(4) Subah fazar ki 2 sunnato ke bad (2 farz se pahle) 100 baar 'subhan allahe wabe hamdihi, subhan allahil azim, astargfirullah wa atubu ilayh. ki tasbeeh se bhi rozi mein izafa hota hai.
Agar koi halal rozi se ameer banta hai to islam ne isse nahi roka hai, lekin insan ameer ho ya gareeb ye sochna chahiye ke garibi bhi Allah ki di hui hai aur ameeri bhi. Ameer ho ya garib, Allah raazi to kaamyabi hai warna sab yahi rah jana hai.
Allah hum sabko quran, hadees aur hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki sunnato par amal karne wala bana de. Aameen.

Agar kisi ko kisi se pyar ho jaaye to Islami Tariqa

Agar kisi ko kisi se pyar ho jaaye to

-----------------------------------------
Agar kisi ko kisi se pyar ho jaaye to Islami Tariqa
Islam mein kisi anjan ladki/ladke ko dekhna, phone par ya saamne romantic baat karna, milna, gift dena, kiss karna, ishare karna (yaani usse affair karna ya usko pareshan karna ya usse friendship karne ki koshish karna) sab mana hai. Yeh sab gunah ka kaam hai aur Islam mein mana hai. Koi bhi ladki tab tak haram hoti hai, jab tak ki us ladki se aapki shadi na ho jaaye. Jab shadi ho jaaye to sab halal ho jaata hai.
Lekin ab kisi se pyar ho hi gaya hai to usko dil mein rakho aur Allah se dua karo ki Allah meri isse shadi karwa de. Uske yaha shadi ke liye rishta bhejo. Lekin ladki ko shadi se pehle dekhna, phone par ya saamne baat karna, milna, gift dena, kiss karna, ishare karna sab mana hai.---------------------------------
Islam mein kisi jawan ladki ka ek ajnabi ladke se bagher kisi zaruri kaam ke baat karna mana hai (baat bhi kare to akele mein na kare, koshish kare ki parde ki aad mein se kare. Hamare Sahabiyat aur Hamari Maa (Hazrat Muhammad Sallallahu alyhiwasallam ki biwiya) se zyada paak daaman aur imaan wali kaun ho sakta hai.
Lekin Allah ne Hazrat Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) ko dusre logo ko yahi baat batane ko kaha ki ek baligh ladka aur baligh ladki apas mein mulakat na kare.
Hazrat Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) ne kaha ki kisi bhi ladke ki ek ladki par anchahe mein nazar padhti hai to woh nazar maaf hai, lekin jaan karke kisi ladki ko dekhna gunah hai.
Ek baar ek sahabi jo ki naabina (blind) the, Hazrat Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) se milne ke liye aaye. Hazrat Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) ne apni biwi se kaha ki aap parde ke peeche chale jaiye, aapki biwi ne pucha ki yeh to naabina (blind) hain, Hazrat Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) ne jawab diya ki yeh naabina (blind) hai to kya hua, aap to aankh wali hain.
Kuch log yeh samajhte hain ki ladki ko hi parda karna hai, lekin islam mein ladko ko bhi apni aankho ko gunah se bachane ko kaha gaya hai ki tum bhi kisi lakdi ko na dekho.

Suhaag Raat Ka Tariqa Islami Video

Suhaag Raat Ka Tariqa Islami Video 

Shaadi Ke Baad Pehli Raat
http://urdupoetrydunya.blogspot.com/

====================

Shadi karna sunnat hai aur islam ka ek hissa hai. Isliye har insan ko shadi karna chahiye. Bagher kisi jaiz wajah ke agar koi shaadi nahi kar raha ya der se kar raha hai to ye islam ke khilaf hai.
Jin logo ki shadi hone wali hoti hai, unme se bahut se logo ke dimaag mein kuch sawal hote hain ki islam ke hisab se shaadi ke baad ki pehli raat ko kya karna chahiye, ya iska sahi tarika kya hai.
Hum yaha pehli raat ki kuch baat karege, lekin ye baat sirf islam sikhne ki niyat se padhiye, dil mein kuch gandagi na rakhiyeaur na koi galat comment karna. Hamara maksad sirf un logo ko islam ka tarika batana hai jinko is baare mein maalumaat kam hai.
Shaadi ke baad jab ladka room mein jaaye to sabse pahle salam kare, kheriyat maalum kare aur thodi baat karne ke baad ladki ki peshani (forehead) ke baal sidhe haath ahista se pakadiye aur ye dua padhe. Hadees dekhiye, Hazrat Muhammad (sallallaho alayhi wasallam) ne irshad farmaya : jab koi shaks nikah kare aur pehli raat (suhag raat) ko apni dulhan ke paas jaye to narmi ke sath uski peshani ke thode se baal apne sidhe hath me le kar yah duwa padhe :'Allahumma in'ni as'a'luka min khai'riha wakhai'ri ma fiha wakhairi ma jabalta'ha alai wa a'udhu bika min shar'riha washar'ri ma fiha wa sharri ma jabalta'ha alai' 
(tarjuma : ae Allah me tujse iski (apni biwi ki) bhalai aur khairo barkat mangta hu aur uski fitari aadato ki bhalai aur teri panah chahta hu iski burai aur fitari aadato ki burai se.
(Abu Dawood : jild-2,page-150, Hasne Hasin : page-164)
(Bukhari shareef, Jild 3, Safa 473)
Peshani ke baal pakad kar dua karne se pahle apni biwi ko ye bata sakte hain ki ye hamare aaqa Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwsallam) ka hukm hai, warna jis ladki ko nahi maalum ho wo kuch galat na sochne lage.
Iske baad agar wuzu na ho to wuzu kar lijiye aur 2 rakat namaz nafal, Allah ka shukr ada karne aur usse dua karne ke liye padhiye, Namaz is tarah padhiye (jamat bana kar) ki ladka aage imam ban kar khada ho aur ladki uske piche khade ho jaaye. Dono saath namaz padhe. namaz ki niyat : niyat ki maine 2 rakat namaz nafil shukrane ki waste Allah ta'ala ke rukh mera kaaba sharif ke taraf Allaho Akbar. fir humesha jaise namaz padhte ho waise hi namaz padhe Aur namaz ke baad Shaadi saath kheriyat se hone ke liye Allah ka shukr ada kijiye aur ye dua kariye ki Allah is shaadi ko kaamyab banaye, aage bhi hansi-khushi rakhe, bacche nek de, aur is tarah bhi duwa kar sakte hain "ae ALLAH tera shukra aur ehsan hai ki tune hume ye din dikhaya aur hume is khushi wa ne'amat se nawaza aur hume apne Habib sallallaho alayhi wasallam ki sunnat par amal karne ki taufiq ata farmayi. aye Allah humari is khushi ko humesha isi tarah kayam rakh. hume mel-milap pyar muhabbat ke sath zindagi gujarne ki taufiq ata farma. ae Rabbe Qadir hume nek farmabardar aulad ata farma. AAMIN, aur iske alawa jo bhi aap shaadi ki kaamyabi ke liye dua karna chahe kar sakte hain. Dua ke pahle aur aakhir mein darud sharif padh lijiye.
Namaz ke baad kisi bhi kaam mein jald-baazi na karen, balki ladki se is tarah baat kariye ki uski thodi jhijhak door ho jaaye. Thoda apne baare mein baat kariye thoda uski suniye. Jab ladki ki thodi jhijhak door ho jaaye to aur aap saath mein sone ka irada karen to usse pahle ye dua padh lijiye. 
"Bismillah, Allahumma jannib nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma razaq tana (Tarjuma: "ALLAH ke naam se. Ae ALLAH door kar hamse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hame ata karega")
"Jo shaks is dua ko Sohbat ke waqt padhega (Dua wahi jo upar likhi hai) to ALLAH us padhne wale ko agar Aulad ata farmaye to us Aulad ko Shaitan kabhi bhi nuksan na pahuncha sakega"
(Bukhari shareef Jild 3,Safa 85, Tirmizi shareef,Jild 1,Safa 557)
Note : Ye yaad rakhiye ki jo peshani ke baal pakad kar dua karna hai wo sirf pehli raat mein hi padhna hai aur ek hi baar padhna hai, lekin ye waali dua ("Bismillah, Allahumma jannib nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma razaq tana) aapko hamesha padhna, jab bhi biwi ke saath sone ka irada ho usse pahle is dua ko padhna zaruri hai, chhoti si dua hai, 4-5 baar padhne se yaad ho jaayegi, agar is dua ko padhe bagher aap biwi ke saath sote hain to ho sakta hai ki shaitan/jinn bhi aapke saath-saath aapki biwi se sohbat kar le. Is dua ko padhne se Allah hifazat farmata hai.
Miya biwi ka saath mein sone ka sahi tarika ye hai ki dono ek dusre ke badan ko bila zarurat na dekhe, Hazrate Ayesha siddiqa farmati hai jiska mafhum hai ki "Hazrat Muhammad (sallallhau alyhiwasallam) ne na kabhi unke badan ko dekha na unhone".
Saath mein sote time bila zarurat baat na karen, aur jab saath mein soye to apne upar ek chadar daal len (yaani pura badan khula na rahe). Porn film ko dimaag se nikaal den kyonki wo veshya (prostitute) hoti hain aur ye aapki biwi hai, isliye sirf islami tarike ke hisab se hi saath mein soyen.
(1) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
Pakhane ki jagah me Aurat se Sohbat (sex) karna haram hai
(2) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
Suhaag Raat Ka Tariqa Islami Video Jisne Aurat ya Mard se uske piche ke mukam se sohbat (sex) ki usne yakinan kufr kiya (Abu Dawood Shareef)
(3) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
ALLAH Qayamat ke din aese shaks ki taraf nazre rehmat nahi farmayega. Jisne apni Aurat ke piche ke raaste se sohbat ki
(Bukhari shareef,Tirmizi shareef ,Ibne maja Shareeef)
Isliye biwi ke saath jaanwaro jesa kaam na karen, short mein mera matlab hai ki porn movies jesa kuch na karen. Balki sirf islami tarike se saath mein soiye.
Jab aurat ka mahina (haiz/maahvaari) ho us time uske saath let-beth sakte hain, kiss kar sakte hain lekin sex nahi kar sakte, jab tak ki wo ghusl karke paak na ho jaaye. Isi tarah roza ki haalat mein saath nahi so sakte, lekin peshani (forehead) par kiss kar sakte hain. roza kholne ke baad so sakte hain, Shaadi baad ladka-ladki ko ek dusre ki zarurato bhi samajhna chahiye ki hamara saathi kab kya chah raha hai.
Bahut se logo ko ye galat fahmi hoti hai ki agar shadi ke baad pehli raat mein miya biwi saath nahi soe to dusre din walima nahi ho sakta, Jabki aesa kuch bhi nahi hai, bagher saath soe bhi walima kiya ja sakta hai.
Ek aur zaruri baat ye thi ki ladka ho ya ladki koi bhi apne dost/saheli ko apni raat ki baat na batae, aksar dekhne mein aaya hai ki subah ladki ko uski saheli pakad leti hai aur ladke ko uske dost, aur wo unse raat ki baat puchte hain, lekin islam mein is baat ko bahut sakhti se mana kiya gaya hai ki koi apni personal baat apne dosto/saheli ko bataye aur ye ek gunah bhi hai. Is baat ka ek duniywai nuksan ye bhi hai ki agar koi dulha apne dost ko raat ki baat suna deta hai to phir baad mein uski bhabi jab bhi uske saamne aayegi usko dulha ki sunai hue baat yaad aa jaayei aur ho sakta hai wo imagine bhi karne lage. Isliye is burai se bachiye. Aur apni biwi ko khud beizzat na kariye. Ladki ko bhi apni saheliyo ko kuch baat nahi batana chahiye.
Ladka aur ladki ko is baat ki jaankari hona chahiye ki jab dono ek saath so lete hain to islam ki nazar se dono naa-paak ho jaate hain, naa-paak hone ke baad dono na namaz padh sakte hain na quran sharif ko haath laga sakte hain, isliye saath mein sone ke baad ghusl karna (nahana) zaruri hai, ghusl jitni jaldi kar lo utna accha hai. Ghusl sirf saade nahane ko nahi kahte balki ghusl ka ek khaas tarika hota hai. Ghusl sunnat tarike se bhi ho jaata hai aur agar sirf uske farz bhi pure kar liye to ghusl ho jaayega, Mujhe jo aasan tarika laga mein wo bata raha hu. 
Suhaag Raat Ka Tariqa Islami Video
Sabse pahle dil mein niyat kar lijiye ki mein naa-paaki ko door karne ke liye ghusl kar raha hu (lafz muh se kehna zaruri nahi dil mein irada kar lena kaafi hai). Ab apne badan ki wo jagah dho lijiye jaha gandagi lagi hai, phir jese wuzu karte hain, pura wuzu kar lijiye, lekin ghusl ke wuzu mein garare karna zaruri hai (agar roza ho to garara na karen). Jab pura wuzu kar chuke to 3 baar sar par paani daaliye, phir 3 baar sidhe kaandhe par paani daaliye, phir 3 baar ulte kaahnde par paani daaliye, iske baad pure badan par paani bahaiye, aur phir pure badan ko haath se ragadiye, agar saabun (soap) laga rahe ho to yu bhi ragadna ho jaata hai isliye phir alag se ragadne ki zarurat nahi, ragadne ki wajah ye hai ki pure badan par paani fel jaaye, ek baal ke barabar bhi jagah sukhi na rahe, agar sukhi rah gai to ghusl complete na hoga. isliye har jagah paani pahuchane ki koshish kariye, apni baglo mein, baalo mein, pet ki naaf mein, taango ke beech mein piche ki taraf aur aage ki taraf, yaani sab jagah paani pahuch jaaye, ladkiya apne kaano ki baaliyo aur naak ki nath ko paani daal kar ghumaye taaki paani andar tak chala jaaye, agar anguthi pahani hain to anguthi ko aage piche kare. Jab ye yakeen ho jaaye ki paani sab jagah pahuch gaya aur koi bhi hissa sukha na raha to ab aapka ghusl ho gaya. aur aap paak ho gaye. Agar ladki ne nail-polish laga rakhi hai to uska naakhun se saaf karne ke baad hi ghusl kare kyonki nail-polish ki wajah se naakhun sukhe rah jaate hain isliye ghusl nahi ho paata. Agar ghusl ka jo tarika hai wesa ghusla na kiya gaya to insan agar pure samudra (dariya) ke paani se bhi naha le to paak nahi hoga.
(1) Islam ke hisab se, jab tak ladka-ladki ki shaadi na hue thi tab tak unka ek dusre ko pyar se dekhna, pyar se baat karna ye sab gunah tha, lekin jab unki shadi ho gai to ab in dono ka pyar se baat karna, saath mein acche se rahna, ek dusre ko pyar karna sab sawab ban jata hai. 
(2) Jab miya biwi ek dusre ko pyar ki nazar se muskura kar dekhte hain to Allah dono ko muskura kar dekhta hai. 
Allah insan se har pal ka hisab se lega, lekin kuch kaam aese hain jinke time ka hisab Allah nahi lega, usmein se ek miya-biwi ka saath bethna bhi hai.
(3) Agar kisi ladki se uska dulha naraz hokar so gaya to us ladki par farishte raat bhar laanat karte hain
(4) Ladke ko chahiye ki apni biwi ka hara tarah se dhyan rakhe, uski har sahi baat puri karne ki koshish kare. Usko khush rakhe.
Allah hum sabko sunnat tarike se har kaam karne ki taufik ata kare, Aameen.
Note: Jis kisi ko kuch confusion hai ya kuch aur zyada detail mein puchna chahta ho to iske liye comment nahi persona message kariye.

Tuesday, 2 June 2015

English Story Echoes of echoes; forbidden,



Echoes of echoes; forbidden,
Thoughts of thoughts, forsaken,
Every second of those which make me slip,
Giving me that feeling of abruptly waking up, reeling backwards with that horrific flip,
That gasp, that astonishment when the ground is being pulled from beneath my feet, I'm stunned and it's prolonged,
It's reality- this. I can't believe it.... giddy, drowning in coldness, I longed.
My heart wrenches,
Everything drenches,
And I painfully breathed, while I gave way to the forbidden.
With feelings forsaken, it's woven.

I hope you sometimes listen to my rare, hidden silence,
And its cries that fill the ambience.
You could imagine how good I am at pretence,
But not how much I dread my forsaken hesitance.
There must be a reason why I seemed to be the ignorant dame,
Maybe I was muddled under delusions when there was no one to tame.
I am sureness and I have surely been that since I banished that damned hesitance.
It'd kill me to go back even once.
I was told the forsaken should be forgotten like nightmares,
But when summoned, nightmares haunt relentlessly even when I'm on my wares,

Guilt and loneliness- they carry the weight of the seven skies and seas,
Believe me, they're the monsters I'd do anything to cease.
I'm joyous at the mercy of your love and trust, always.
And if you forsake it, without hesitation, I swear I will bleed the life out of my soul before it strays.
It's your love on which I survive,
My love and your faith which helps me revive.
I'll always be by your side, lovingly loving, as you are- you know that all along.
Just know that everything you say to me casts a spell over me; you're that strong.
You have the power to illuminate my world,
And to also take away all the light, leaving my heart engraved and whorled.

You're a blessing from Allah to me, and I pray for you every night,
Before the night alights.
We'll surely win the battle if you keep smiling at me and I'll know everything is all right,
Because without hesitance, we both stride forward to our destination, believing in the light.

P.S this is not supposed to be romantic. 

Monday, 1 June 2015

Patience with family is love

I_LOVE_MY_SWEET_FAMILY

•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Patience with family is love;
Patience with others is respect;
Patience with self is confidence;
And patience with ALLAH is faith!
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••

I want a Girl who will say to me...

I want a Girl who will say to me...
"Main aadhi pagal, tum aadhe pagal,aur hmare hone waale bacche pure pagal!!" 

Piayre Bachoooooooooo

Piayre Bachoooooooooo

Class me top na karo-
Warna log tumse jalne lagege
.
.
.
Hamesha late class me jao -
Is tarah har teacher tumhe yaad
rakhega..
.
.
Zyada padhne se time waste hota hai..
Aur time waste karna buri
baat hai ,
.
.
Kabhi test na do
Kyuki Beizzati ke "2" marks se
to izzat ke "0" acche hai....

Kese Ho Sab Happy Wale Sunday K Sath

Advertisement

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments