page contents Urdu Poetry Dunya : EK AURAT KI KAHANI

Saturday 4 July 2015

EK AURAT KI KAHANI

EK AURAT KI KAHANI...TRUE STORY...

.
EK AURAT KI KAHANI
Must Read & Share
Kisi ko dil me basaya magar pyar na kar saki...
.ghut ghut ke jeeti rahi magar khul ke na mar
saki...
.maa baap ne daman kisi gair ka pakda diya...
.
mai kya karti baba ki izat ka swal tha inkar bhi
na kar saki...
.
jise pyar kiya uski nazro me bewafa bani...
.
jiske liye use chhoda us se bhi mai wafa na kar
saki...
.
hamsfar aisa mila jise mujhpe kabhi aitbaar na
hua...
.
mai sab ke liye qurbaan hui magar koi mera
kadrdan na hua...
.
kya karu aurat hu mai kuchh kar bhi nhi sakti...
.
marne ka dil hota hai magar bacho ko dekh mar
bhi nhi sakti...
.
hasti rahti hu sabke samne apne gum ko
chhupane ke liye...
.
mai to kab ki mar chhuki hu zinda hu to faqat
zmane ke liye...
.
bachpan me hi shadi ke bandhno me bandh gyi
.
yahi hai kahani meri...
ghar baar aur bacho ke bich hi khatam ho ke
rah gyi jwani meri...
.
kisi ne dard na smjha kisi ne mujhko na jana...
.
jab apne na huye to begano ko pada apna
bnana...
.
kya karu kuchh kar nhi sakti...
bacho ka khyal hai isliye mar bhi nhi sakti.,.,.,

No comments:

Post a Comment

Advertisement

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments